Sada Ambalvi

wo to KHushbu hai har ek samt bikharna hai use

Sada Ambalvi

1951
vo to ḳhushbū hai har ik samt bikharnā hai use
dil ko kyuuñ zid hai ki āġhosh meñ bharnā hai use
kyuuñ sadā pahne vo terā hī pasandīda libās
kuchh to mausam ke mutābiq bhī sañvarnā hai use
us ko gulchīñ kī nigāhoñ se bachā.e maulā
vo to ġhuncha hai abhī aur nikharnā hai use
har taraf chāhne vāloñ kī bichhī haiñ palkeñ
dekhiye kaun se raste se guzarnā hai use
dil ko samjhā leñ abhī se to munāsib hogā
ik na ik roz to va.ade se mukarnā hai use
ham ne tasvīr hai ḳhvāboñ kī mukammal kar lī
ek rañg-e-hinā baaqī hai jo bharnā hai use
ḳhvāb meñ bhī kabhī chhūnā to vazū kar ke 'sadā'
kabhī mailā kabhī rusvā nahīñ karnā hai use
Top Urdushayar.com