Sada Ambalvi

rasm-e-duniya to kisi taur nibhate jao

Sada Ambalvi

1951
rasm-e-duniyā to kisī taur nibhāte jaao
dil nahīñ milte bhī to haath milāte jaao
kabhī chaTTān ke siine se kabhī baazū se
bahte paanī kī tarah raah banāte jaao
teġh uThtī nahīñ hai tum se jo zālim ke ḳhilāf
haq meñ mazlūm ke āvāz uThāte jaao
log samjheñge ki hai shaḳhs baḌā shā.ista
tum har ik baat pe bas naak chaḌhāte jaao
tum sitāroñ ke bharose pe na baiThe rahnā
apnī tadbīr se taqdīr banāte jaao
ik na ik roz rifāqat meñ badal jā.egī
dushmanī ko bhī salīqe se nibhāte jaao
aur kuchh bhī nahīñ jab ai 'sadā' tum se hotā
sher likh likh ke zamāne ko sunāte jaao
Top Urdushayar.com