Sada Ambalvi

lakh taqdir pe roe koi rone wala

Sada Ambalvi

1951
laakh taqdīr pe ro.e koī rone vaalā
sirf rone se to kuchh bhī nahīñ hone vaalā
bār-e-ġham gul hai ki patthar hai ye mauqūf is par
kis salīqe se ise Dhotā hai Dhone vaalā
koī tadbīr yā tāvīz nahīñ kaam aatī
hādsa hotā hai har haal meñ hone vaalā
tū hai shā.er tujhe hargiz na suhā.e ronā
terā har ashk hai gītoñ meñ pirone vaalā
khaul uThtā hai lahū dekh ke apnā yaaro
fasl ko kaaTe na jab fasl ko bone vaalā
maut kī god meñ jab tak nahīñ tū so jaatā
tū 'sadā' chain se hargiz nahīñ sone vaalā
Top Urdushayar.com