Sada Ambalvi

chalo ki hum bhi zamane ke sath chalte hain

Sada Ambalvi

1951
chalo ki ham bhī zamāne ke saath chalte haiñ
nahīñ badaltā zamāna to ham badalte haiñ
kisī ko qadr nahīñ hai hamārī qadroñ kī
chalo ki aaj ye qadreñ sabhī badalte haiñ
bulā rahī haiñ hameñ talḳhiyāñ haqīqat kī
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā se ab nikalte haiñ
bujhī hai aag kabhī peT kī usūloñ se
ye un se pūchhiye jo gardishoñ meñ palte haiñ
unheñ na toliye tahzīb ke tarāzū meñ
gharoñ meñ un ke na chūlhe na diip jalte haiñ
zarā sī aas bhī ta.abīr kī nahīñ jin ko
diloñ meñ ḳhvāb vo kyā soch kar machalte haiñ
hameñ na raas zamāne kī mahfileñ aa.ī
chalo ki chhoḌ ke ab is jahāñ ko chalte haiñ
mizāj tere ġhamoñ kā 'sadā' nirālā hai
kabhī ġhazal to kabhī giit ban ke Dhalte haiñ
Top Urdushayar.com