Sada Ambalvi

manzar-e-ruKHsat-e-dildar bhulaya na gaya

Sada Ambalvi

1951
manzar-e-ruḳhsat-e-dildār bhulāyā na gayā
dil ka.ī roz talak raah pe laayā na gayā
ḳhāna-e-dil kī tabāhī kā deñ ilzām kise
aap ke ba.ad yahāñ koī bhī aayā na gayā
ḳhaak tasvīr musavvir se banegī terī
dūsrā tujh sā ḳhudā se bhī banāyā na gayā
de gayā ḳhuub sazā mujh ko koī kar ke muaaf
sar jhukā aise ki tā-umr uThāyā na gayā
laakh duniyā ne mire sher pe dī daad to kyā
jis kī ḳhātir thā likhā us ko sunāyā na gayā
vaqt ke saath 'sadā' badle ta.alluq kitne
tab gale milte the ab haath milāyā na gayā
Top Urdushayar.com