Sada Ambalvi

tabiat rafta rafta KHugar-e-gham hoti jati hai

Sada Ambalvi

1951
tabī.at rafta rafta ḳhūgar-e-ġham hotī jaatī hai
vahī rañj-o-alam hai par ḳhalish kam hotī jaatī hai
ḳhushī kā vaqt hai aur aañkh pur-nam hotī jaatī hai
khilī hai dhuup aur bārish bhī chham-chham hotī jaatī hai
ujālā ilm kā phailā to hai chāroñ taraf yaaro
basīrat aadmī kī kuchh magar kam hotī jaatī hai
kareñ sajda kisī but ko gavāra thā kise lekin
jabīñ ko kyā kareñ jo ḳhud-ba-ḳhud ḳham hotī jaatī hai
tujhe hai fikr merī mujh se baḌh kar ai mire maulā
mujhe darkār hai jo shai farāham hotī jaatī hai
uThī kyā ik nigāh-e-lutf phir apnī taraf yaaro
ki har TuuTī huī ummīd qaa.em hotī jaatī hai
baḌā ghāTe kā saudā hai 'sadā' ye saañs lenā bhī
baḌhe hai umar jyūñ-jyūñ zindagī kam hotī jaatī hai
Top Urdushayar.com