na zikr gul kā kahīñ hai na māhtāb kā hai
tamām shahr meñ charchā tire shabāb kā hai
sharāb apnī jagah chāñdnī hai apnī jagah
magar javāb hī kyā husn-e-be-naqāb kā hai
hue haiñ nā-gahāñ bismil sharīk-e-bazm jo sab
qusūr kuchh hai tirā kuchh tire naqāb kā hai
na tū ne mai chakhī zāhid na jurm-e-ishq kiyā
to sub.h o shaam tujhe fikr kis azaab kā hai
mai-e-tuhūr kā is vaqt le na naam ai shaiḳh
ye vaqt-e-shām to añgūr kī sharāb kā hai
'sadā' ke paas hai duniyā kā tajraba vaa.iz
tumhārī baat meñ bas falsafa kitāb kā hai