zulf lahrā ke fazā pahle mo.attar kar de
jaam phir āñkhoñ ke mai-ḳhāne se bhar bhar kar de
bujh ga.ī sham.a kī lau tere dupaTTe se to kyā
apnī muskān se mahfil ko munavvar kar de
hosh to uḌ ga.e āñkhoñ se hī pī kar saaqī
ab zarā vo bhī pilā de jo galā tar kar de
ġhair ko muñh na lagā hosh meñ huuñ jab tak maiñ
itnā ehsān mire sāqiyā mujh par kar de
be-muravvat haiñ baḌe pī ke bhī haiñ hosh meñ jo
aise mai-ḳhvāroñ ko mai-ḳhāne se bāhar kar de
sher meñ saath ravānī ke ma.ānī bhī to bhar
ai 'sadā' qaid tū kuuze meñ samundar kar de