Sada Ambalvi

ab kahan dost milen sath nibhane wale

Sada Ambalvi

1951
ab kahāñ dost mileñ saath nibhāne vaale
sab ne sīkhe haiñ ab ādāb zamāne vaale
dil jalāo yā diye āñkhoñ ke darvāze par
vaqt se pahle to aate nahīñ aane vaale
ashk ban ke maiñ nigāhoñ meñ tirī ā.ūñgā
ai mujhe apnī nigāhoñ se girāne vaale
vaqt badlā to uThāte haiñ ab uñglī mujh par
kal talak haq meñ mire haath uThāne vaale
vaqt har zaḳhm kā marham to nahīñ ban saktā
dard kuchh hote haiñ tā-umr rulāne vaale
ik nazar dekh tū majbūriyāñ bhī to merī
ai mirī laġhzishoñ par aañkh Tikāne vaale
kaun kahtā hai bure kaam kā phal bhī hai burā
dekh masnad pe haiñ masjid ko girāne vaale
ye siyāsat hai ki la.anat hai siyāsat pe 'sadā'
ḳhud haiñ mujrim bane qānūn banāne vaale
Top Urdushayar.com