Sada Ambalvi

dikhaegi asar dil ki pukar aahista aahista

Sada Ambalvi

1951
dikhā.egī asar dil kī pukār āhista āhista
bajeñgge aap ke dil ke bhī taar āhista āhista
nikaltā hai shagāfoñ se ġhubār āhista āhista
thamegī aañkh se ashkoñ kī dhaar āhista āhista
rahī mashq-e-sitam jaarī agar kuchh din janāb aise
mileñge ḳhaak meñ sab jāñ-nisār āhista āhista
muqaddar us kā murjhānā hī to hai ba.ad khilne ke
kalī par yā-ḳhudā aa.e nikhār āhista āhista
banā hai nāzim-e-gulshan koī sayyād ab shāyad
parinde ho rahe haiñ sab farār āhista āhista
mohabbat ke marīzoñ kā mudāvā hai zarā mushkil
utartā hai 'sadā' un kā buḳhār āhista āhista
Top Urdushayar.com