Shola Haspanvi

zaKHm-e-dil ab phul ban kar khil gaya

Shola Haspanvi

zaḳhm-e-dil ab phuul ban kar khil gayā
hāsil-e-ġham aaj mujh ko mil gayā
aaj tak chaltā rahā jo saath saath
jaane ab vo kaun sī manzil gayā
DhūñDhtī phirtī thī jis ko zindagī
maut ke pahlū meñ soyā mil gayā
qatl kar ke mujh ko be-rahmī ke saath
ghar talak rotā huā qātil gayā
ābla-pā kaun aayā thā idhar
sañg-e-rah bhī phuul ban kar khil gayā
Dūbne vāloñ se rishta joḌne
duur tak bahtā huā sāhil gayā
sho.ala-e-jāñ kā bhaḌaknā dekh kar
achchhe-achchhoñ kā kaleja hil gayā
Top Urdushayar.com