vo jis ke dil meñ nihāñ dard do-jahāñ kā thā
ḳhabar kisī ko nahīñ kaun thā kahāñ kā thā
talāsh-e-yār meñ bhaTkā kiye ḳhalāoñ meñ
hameñ zamīñ kā pata thā na āsmāñ kā thā
hañsā jo phuul to shabnam kī aañkh bhar aa.ī
bahār samjhā jise daur vo ḳhizāñ kā thā
hazār baar marā zindagī meñ jīte-jī
vo shaḳhs ḳhauf jise marg-e-nā-gahāñ kā thā
vahīñ pe jā ke rukī aaj be-ḳhudī apnī
jahāñ pe moḌ mohabbat kī dāstāñ kā thā
bikhertā hī rahā nuur vo shab-e-ġham meñ
jo māhtāb tasavvur ke āsmāñ kā thā
vo jis ne raat dar-e-dil pe aa ke dastak dī
zarūr jhoñkā kisī yād-e-raftagāñ kā thā
tamām umr kī kāvish se tai na ho paayā
vo ek fāsla jo apne darmiyāñ kā thā
huā thā qātil sar-e-ām jab mirā yaaro
ajiib rañg kuchh us vaqt āsmāñ kā thā