rāz-e-fitrat nihāñ thā nihāñ hai abhī
āsmāñ se pare āsmāñ hai abhī
maiñ azal se sunātā rahā huuñ magar
nā-mukammal mirī dāstāñ hai abhī
ham-safar chhoḌ kar chal diye haiñ to kyā
saath mere ye umr-e-ravāñ hai abhī
umr-bhar sū-e-manzil chalā huuñ magar
fāsla juuñ kā tuuñ darmiyāñ hai abhī
rāhatoñ ke vo din jaane kab ā.eñge
zindagī dard kī tarjumāñ hai abhī
manzil-e-āshiqī ham kahāñ pā.eñge
dil meñ ehsās-e-sūd-o-ziyāñ hai abhī