Shola Haspanvi

wo aur honge jo wahm-o-guman ke sath chale

Shola Haspanvi

vo aur hoñge jo vahm-o-gumāñ ke saath chale
ham apnī raah pe azm-e-javāñ ke saath chale
talāsh-e-yār meñ ham har maqām se guzre
kabhī zamīn kabhī āsmāñ ke saath chale
na jaane kitnī hī sadiyoñ ke fāsle haiñ abhī
huī hai umr zamān-o-makāñ ke saath chale
kabhī to pā.eñge ham bhī hayāt kī manzil
isī ḳhayāl se umr-e-ravāñ ke saath chale
tamām raat kisī ajnabī kā saath rahā
sahar huī to dil-e-bad-gumāñ ke saath chale
jo phuul ban ke mahakte the rahguzāroñ meñ
ġhubār ban ke tire kārvāñ ke saath chale
vo husn-o-ishq ke qisse haiñ jin se vābasta
unhī kā zikr mirī dāstāñ ke saath chale
junūñ ke dosh pe rakh kar charāġh-e-hastī ham
qazā ko DhūñDne mauj-e-ravāñ ke saath chale
usī ko kahte haiñ shāyad nasīb kī gardish
bahār aa.e to sho.ala ḳhizāñ ke saath chale
Top Urdushayar.com