husn jab qātil na thā aur ishq dīvāna na thā
zindagī meñ dard-o-ġham kā koī afsāna na thā
sab se vo kahtā phirā maiñ hī thā us kā āshnā
sāmne aayā to us ne mujh ko pahchānā na thā
rāt-bhar kuchh āhaTeñ dil kī taraf aatī rahīñ
ham the jis ke muntazir us ko magar aanā na thā
ek sahmī sī tamannā ek mub.ham sā ḳhayāl
is se baḌh kar mere dil meñ koī nazrāna na thā
dekhiye kis samt ab ke le chale āvārgī
dasht aisā kaun sā thā ham ne jo chhānā na thā
sho.ala-e-ġham jal uThā to bujh ga.e saare charāġh
ātish-e-dil gul huī to koī parvāna na thā