Shola Haspanvi

apna Khaaliq KHud hi tha mera KHuda koi na tha

Shola Haspanvi

apnā ḳhāliq ḳhud hī thā merā ḳhudā koī na thā
is jahāñ meñ mujh se pahle dūsrā koī na thā
rāt-bhar chaltā rahā thā chāñd mere saath saath
dasht meñ us kā kahīñ bhī naqsh-e-pā koī na thā
fāsle hī fāsle the manzileñ hī manzileñ
ham-safar koī na thā aur rahnumā koī na thā
vo payambar thā khaḌā thā ik galī ke moḌ par
ajnabī bastī meñ us ko jāntā koī na thā
duur tak phailī huī thiiñ dard kī tanhā.iyāñ
do diloñ ke darmiyāñ jab fāsla koī na thā
kis qadar sunsān thī us shahr-e-ulfat kī galī
band the saare darīche jhāñktā koī na thā
gūñjtī thiiñ jab tumhārī yaad kī ḳhāmoshiyāñ
dil ke vīrāne nagar meñ jāgtā koī na thā
jism-o-jāñ kī qaid meñ rahnā paḌā ik umr tak
bach nikalne kā kahīñ bhī rāsta koī na thā
Top Urdushayar.com