ḳhuun aañsū ban gayā ā.ankhoñ meñ bhar jaane ke ba.ad
aap aa.e to magar tūfāñ guzar jaane ke ba.ad
chāñd kā dukh bāñTne nikle haiñ ab ahl-e-vafā
raushnī kā saarā shīrāza bikhar jaane ke ba.ad
hosh kyā aayā musalsal jal rahā huuñ hijr meñ
ik sunahrī raat kā nashsha utar jaane ke ba.ad
zaḳhm jo tum ne diyā vo is liye rakkhā harā
zindagī meñ kyā bachegā zaḳhm bhar jaane ke ba.ad
shaam hote hī charāġhoñ se tumhārī guftugū
ham bahut masrūf ho jaate haiñ ghar jaane ke ba.ad
zindagī ke naam par ham umar bhar jiite rahe
zindagī ko ham ne paayā bhī to mar jaane ke ba.ad