Azm Shakri

darwaza-e-hasti se na imlak se nikla

Azm Shakri

Ganjdundwara, Uttar pradesh, India

darvāza-e-hastī se na imlāk se niklā
paiġhām-e-vafā ḳhushbū-e-idrāk se niklā
phir aaj kuredī ga.ī vo ḳhāk-e-nasheman
phir gauhar-e-maqsūd usī ḳhaak se niklā
har baar mujhe mere muqaddar ne sadā dī
jab bhī koī taara dar-e-aflāk se niklā
is baar to majnūñ kā bharam bhī nahīñ rakkhā
yuuñ merā junūñ pairhan-e-chāk se niklā
duniyā kī zabānoñ pe rahe ḳhauf ke taale
bas haq to mire lahja-e-be-bāk se niklā
mahsūs huā aur bhī hisse haiñ usī meñ
ik purza-e-dil jab ḳhas-o-ḳhāshāk se niklā
Top Urdushayar.com