darīda-pairahanoñ meñ shumār ham bhī haiñ
bahut dinoñ se anā ke shikār ham bhī haiñ
faqat tumhīñ ko nahīñ ishq meñ ye dar-badarī
tumhārī chaah meñ gard-o-ġhubār ham bhī haiñ
chaḌhī jo dhuup to hosh-o-havās kho baiThe
jo kah rahe the shajar sāya-dār ham bhī haiñ
bulandiyoñ ke nishāñ tak na chhū sake vo log
jinheñ gumāñ thā havā pe savār ham bhī haiñ
jo ḳhasta-hālī meñ darvesh kā muqaddar thī
usī qabā kī tarah tār-tār ham bhī haiñ