zindagī yuuñ bhī guzārī jā rahī hai
jaise koī jañg haarī jā rahī hai
jis jagah pahle ke zaḳhmoñ ke nishāñ meñ
phir vahīñ par choT maarī jā rahī hai
vaqt-e-ruḳhsat āb-dīda aap kyuuñ haiñ
jism se to jaañ hamārī jā rahī hai
bol kar tārīf meñ kuchh lafz us kī
shaḳhsiyat apnī nikhārī jā rahī hai
dhuup ke dastāne hāthoñ meñ pahan kar
barf kī chādar utārī jā rahī hai