Azm Shakri

chahta ye hun ki benam-o-nishan ho jaun

Azm Shakri

Ganjdundwara, Uttar pradesh, India

chāhtā ye huuñ ki benām-o-nishāñ ho jā.ūñ
sham.a kī tarah jalūñ aur dhuāñ ho jā.ūñ
pahle dahlīz pe raushan karūñ āñkhoñ ke charāġh
aur phir ḳhud kisī parde meñ nihāñ ho jā.ūñ
toḌ kar pheñk duuñ ye firqa-parastī ke mahal
aur peshānī pe sajde kā nishāñ ho jā.ūñ
dil se phir dard mahakne kī sadā.eñ uTTheñ
kaash aisā ho maiñ terī rag-e-jāñ ho jā.ūñ
bas tire zikr meñ kaT jaa.eñ mire roz-o-shab
nuur kī shāḳh pe chiḌiyoñ kī zabāñ ho jā.ūñ
ḳhaak jis kūche kī malte haiñ farishte aa kar
maiñ usī ḳhaak ke zarroñ meñ nihāñ ho jā.ūñ
merī āvāra-mizājī ko sukūñ mil jaa.e
dard ban kar tire siine meñ ravāñ ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com