ye mat kaho ki bhiiḌ meñ tanhā khaḌā huuñ maiñ
Takrā ke ābgīne se patthar huā huuñ maiñ
ā.ankhoñ ke jañgaloñ meñ mujhe mat karo talāsh
dāman pe āñsuoñ kī tarah aa gayā huuñ maiñ
yuuñ be-ruḳhī ke saath na muñh pher ke guzar
ai sāhab-e-jamāl tirā aa.inā huuñ maiñ
yuuñ baar baar mujh ko sadā.eñ na dījiye
ab vo nahīñ rahā huuñ koī dūsrā huuñ maiñ
merī burā.iyoñ pe kisī kī nazar nahīñ
sab ye samajh rahe haiñ baḌā pārsā huuñ maiñ
vo bevafā samajhtā hai mujh ko use kaho
ā.ankhoñ meñ us ke ḳhvāb liye phir rahā huuñ maiñ