jitnā terā hukm thā utnī sañvārī zindagī
apnī marzī se kahāñ ham ne guzārī zindagī
mere andar ik nayā ġham roz rakh jaatā hai kaun
rafta rafta ho rahī hai aur bhārī zindagī
ruuh kī taskīn ke saare darīche khul ga.e
dard ke pahlū meñ jab aa.ī hamārī zindagī
sirf thī ḳhāna-badoshī yā mohabbat kā junūñ
hijrateñ kartā rahā ik shaḳhs saarī zindagī
ek lafz-e-kun kahā ābād sannāTe hue
āsmānoñ se zamīnoñ par utārī zindagī