ab ke sochā hai ye dastūr nirālā rakkhūñ
tum qarīb aao to maiñ fāsla thoḌā rakkhūñ
nit na.e uzr se tum mujh ko manā lete ho
hoñ na.e uzr to kyoñ buġhz purānā rakkhūñ
bistar-e-hijr pe hiddat se tasavvur ke jo ḳhud
mom sā pighle maiñ shab bhar vo sarāpā rakkhūñ
likhne baiThūñ jo mohabbat kā fasāna maiñ kabhī
unvāñ 'resham' ho magar zikr tumhārā rakkhūñ