Reshma Naheed Resham

mat jaaniye paikar mein bas naz-o-ada ka

Reshma Naheed Resham

Dhanbad, Jharkhand, India

1964
mat jāniye paikār meñ bas nāz-o-adā kā
aurat meñ hai dam ma.arka-e-jaur-o-jafā kā
manzil pe pahuñch sakte nahīñ aise musāfir
har gaam pe ho ḳhauf jinheñ ābla-pā kā
har dard kā darmāñ hai sharāb-e-ġham-e-ulfat
ik ghūñT meñ ham piite haiñ ik jaam shifā kā
maiñ sun ke jise lauT ga.ī beach safar se
mānūs sadā thī ki vo dhokā thā sadā kā
benām-o-nishāñ barg sī āvāra-e-manzil
kuchh mujh pe karam shāḳh kā kuchh zor havā kā
sahrā-e-mohabbat hai sarāboñ kā tasalsul
hāsil hai faqat tishnagī 'resham' kī vafā kā
Top Urdushayar.com