Reshma Naheed Resham

kis ki aamad se bahaaran hua maskan maskan

Reshma Naheed Resham

Dhanbad, Jharkhand, India

1964
kis kī aamad se bahārāñ huā maskan maskan
aaj gul khilte rahe chaar sū gulshan gulshan
vo jo uThī thī mirī samt uchaTtī sī nigāh
kar ga.ī raakh sakūñ kā mire ḳhirman ḳhirman
saañs hiddat se kiye rakhtī hai mujh ko sarshār
kaun paikar meñ mire bas gayā dhaḌkan dhaḌkan
dekhiye us but-e-kāfir ke satāne kī adā
ḳhvāb meñ dikhtā hai to bhī pas-e-chilman-chilman
luuT kar le gayā mujh se vo mirā apnā vajūd
ab to apnā sā lage raah kā rahzan rahzan
vaqt ruḳhsat bhī nahīñ aane dī āñkhoñ meñ namī
sub.h-dam tar thā magar phūloñ kā dāman dāman
kaise kah duuñ maiñ nahīñ muntazir us kī 'resham'
tan kī dīvār meñ do āñkheñ haiñ rauzan rauzan
Top Urdushayar.com