tasḳhīr sab nujūm-o-mah-o-kahkashāñ hue
mujh ko thā vo junūñ ki nigūñ do-jahāñ hue
maiñ ziist ke safar meñ akelī jo chal paḌī
azm-o-junūñ-o-shauq mire kārvāñ hue
dariyā to ek pal meñ samundar se jā milā
aañsū ThiThak ke aañkh meñ ik dāstāñ hue
nashshe meñ taḳht-o-tāj ke kal tak jo chuur the
sach hai lahad meñ aaj vahī be-nishāñ hue
jin pe ba-sad-niyāz jhukā dī thī ye jabīñ
'resham' nuqūsh-e-pā vo mire āstāñ hue