machleñge un ke aane pe jazbāt saiñkaḌoñ
hans bolne kī hoñgī hikāyāt saiñkaḌoñ
mayyat uThāne koī bhī aayā na ba.ad-e-marg
sunte the zindagī meñ mirī baat saiñkaḌoñ
tum the to zindagī kā na koī savāl thā
ab janm le rahe haiñ savālāt saiñkaḌoñ
kyuuñ us nigāh-e-mast kī sab māñgte haiñ ḳhair
ābād aur bhī haiñ ḳharābāt saiñkaḌoñ
chamke jo tere nuur se din-rāt the vahī
aane ko yuuñ to aa.e haiñ din-rāt saiñkaḌoñ
parda-navāz husn ke qurbān jā.iye
ik ik hijāb meñ haiñ hijābāt saiñkaḌoñ
vo baat koī bhī na kahegā jo ham kaheñ
tum jo kaho kaheñge vahī baat saiñkaḌoñ
karte haiñ arz-e-vasl pe hāñ-hūñ ajī nahīñ
ya.anī savāl ik hai javābāt saiñkaḌoñ
bante haiñ zindagī ke fasāne unhīñ se 'charḳh'
vo haiñ to zindagī kī rivāyāt saiñkaḌoñ