ruḳh-o-zulf kā huuñ fasāna-ḳhvāñ yahī mashġhala yahī kaam hai
mujhe din kā chain azāb-e-jāñ mujhe shab kī niiñd harām hai
tire intizār meñ hai taab ye marīz-e-hijr hai jāñ-ba-lab
kahīñ aa bhī va.ada-ḳhilāf ab ki yahāñ to kaam tamām hai
kahūñ hasratoñ kā hujūm kyā dar-e-dil tak aa ke vo bevafā
mujhe ye sunā ke palaT gayā ki yahāñ to majma-e-ām hai
na vo mehr-o-māh kī tābisheñ na vo aḳhtaroñ kī numā.isheñ
na vo āsmāñ kī haiñ gardisheñ na vo sub.h hai na vo shaam hai
mire dam pe ishq meñ hai banī tujhe va.az-o-pand kī hai paḌī
mire nāsehā tujhe bandagī tirī dostī ko salām hai
na satā.eñ vo na satā.eñ vo idhar aa.eñ vo idhar aa.eñ vo
na sahī mujhī ko balā.eñ vo ye ḳhayāl-o-bātil-o-ḳhām hai
tap-e-ġham se hotī hai ab mafar ki tabīb-e-marg hai chāra-gar
mirā qissa aaj hai muḳhtasar mirī dāstān tamām hai
hai kahāñ vo sāqī-e-tund-ḳhū ki hai mai-kade meñ ye hā-o-hū
kahīñ sar-nigūñ haiñ ḳhum-o-subū kahīñ shīsha hai kahīñ jaam hai
nahīñ dil ko fikr ye be-sabab gayā din kahāñ huī raat kab
mujhe roz-e-vasl hai ajab abhī sub.h thī abhī shaam hai
na vo mehmān-e-harīm-e-dil na ḳhayāl is kā muqīm-e-dil
huī qat.a rasm-e-qadīm-e-dil na payām hai na salām hai
kahīñ husn vāloñ ke darmiyāñ ye ġhazal sunī to kahā ki haañ
ye hai nazm-e-'sāqib'-e-ḳhush-bayāñ ye usī kā tarz-e-kalām hai