gungunātī huī āvāz kahāñ se lā.ūñ
terī āvāz kā andāz kahāñ se lā.ūñ
tere altāf se raqsāñ haiñ laboñ par ḳhushiyāñ
ġham meñ Duubī huī āvāz kahāñ se lā.ūñ
hāl-e-dil phuul se chehroñ ko sunāne ke liye
maiñ lab-e-zamzama-parvāz kahāñ se lā.ūñ
mujh se hans hans ke tirī mashq-e-sitam hotī hai
tujh sā monis but-e-tannāz kahāñ se lā.ūñ
shomī-e-baḳht hai ye 'charḳh' ki vo kahte haiñ
maiñ masīhā.ī kā andāz kahāñ se lā.ūñ