Charkh Chinioti

be-KHudi mein hai na wo pi kar sambhal jaane mein hai

Charkh Chinioti

be-ḳhudī meñ hai na vo pī kar sambhal jaane meñ hai
lutf pā-e-yār par jo laġhzisheñ khāne meñ hai
tere va.ade terī yādeñ tere naġhme tere ḳhvāb
husn se bharpūr daulat mere kāshāne meñ hai
sāġhar-o-mīnā meñ lahrātī hai har mauj-e-sharāb
ik javānī kā talātum aaj maiḳhāne meñ hai
bazm-e-duniyā meñ haiñ husn-o-ishq yuuñ jalva-numā
raushnī hai sham.a meñ to soz parvāne meñ hai
mai kī ik ik buuñd se tūfān-e-mastī hai ayaañ
kis kī mai-bār añkhḌiyoñ kā aks paimāne meñ hai
nuur kī bārish abhī hone de thoḌī der aur
ik zarā sī der hī to raat Dhal jaane meñ hai
laakh fitrat ne dikhā.ī barq kī chashmak-zanī
us meñ vo shoḳhī kahāñ jo tere sharmāne meñ hai
jaan bhī dil bhī jigar bhī ārzū-e-vasl bhī
un ke pesh apnā sabhī kuchh aaj nazrāne meñ hai
mai ubhar kar jaam meñ añgḌā.iyāñ lene lagī
kaisā madd-o-jazr saaqī tere maiḳhāne meñ hai
'charḳh' maiñ nā-āshnā huuñ hijr ke māhaul se
vasl kā rañgīn pahlū mere afsāne meñ hai
Top Urdushayar.com