Charkh Chinioti

baat kahne ke liye baat banai na gai

Charkh Chinioti

baat kahne ke liye baat banā.ī na ga.ī
ham se bārāt fareboñ kī sajā.ī na ga.ī
aaj bhī daar ke taḳhte se sadā aatī hai
haq kī āvāz sitamgar se dabā.ī na ga.ī
dost karte haiñ hasad is liye terī tasvīr
mā-sivā dil ke kahīñ aur sajā.ī na ga.ī
ġham kī tasvīr banāne ko maiñ jab bhī baiThā
un kī muskān ubhar aa.ī banā.ī na ga.ī
na.ī tahzīb ke ḳhākoñ ko sañvārā ham ne
ham se aḳhlāq kī tasvīr banā.ī na ga.ī
jaane kyā sūjhī mirī qabr par aa kar un se
gul chaḌhā.e na ga.e sham.a jalā.ī na ga.ī
maiñ to baat aa.ī ga.ī kar ke chalā aayā thā
ho ga.ī baat parā.ī vo dabā.ī na ga.ī
us ne hañgāmoñ se bahlā.ī hai apnī duniyā
vaqt se amn kī shahnā.ī bajā.ī na ga.ī
'charḳh' dekhe jo javānī ke ubharte jalve
zindagī apnī gunāhoñ se bachā.ī na ga.ī
Top Urdushayar.com