Charkh Chinioti

jab sar-e-baam wo KHurshid-jamal aata hai

Charkh Chinioti

jab sar-e-bām vo ḳhurshīd-jamāl aatā hai
zarre zarre pe qayāmat kā jalāl aatā hai
phuul muskāte haiñ lahrātī hai Tahnī Tahnī
fasl-e-gul aate hī har shai pe jamāl aatā hai
vo janam-din pe bulāte haiñ hamesha mujh ko
har nayā saal ba-andāz-e-visāl aatā hai
kyuuñ tire hoñT mujhe dete haiñ manfī meñ javāb
mere hoñToñ pe ye rah rah ke savāl aatā hai
jab savālī koī aa jaatā hai dar par to mujhe
us kī baḳhshī huī ne.amat kā ḳhayāl aatā hai
un ke khilte hue joban ko vo murjhā na sakā
aane ko daur-e-ḳhizāñ sāl-ba-sāl aatā hai
mujhe jachtī hī nahīñ aur kisī kī sūrat
jab ḳhayāl aatā hai terā hī ḳhayāl aatā hai
taare ginvātī haiñ phir hijr kī kaalī rāteñ
jab mujhe yaad koī zohra-jamāl aatā hai
yuuñ ruḳh-e-zard chamak uThtā hai aane pe tire
jaise holī meñ koī mal ke gulāl aatā hai
apne hāthoñ ke pale log jo ho jaa.eñ ḳhilāf
un ke aḳhlāq pe ai 'charḳh' malāl aatā hai
Top Urdushayar.com