Charkh Chinioti

bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge

Charkh Chinioti

bazm-e-jānāñ meñ mohabbat kā asar dekheñge
kis se miltī hai nazar un kī nazar dekheñge
ab na palkoñ pe Tiko TuuT ke barso ashko
un kā kahnā hai ki ham dīda-e-tar dekheñge
dhaḌkano tez chalo Dūbtī nabzo ubhro
aaj vo bujhte charāġhoñ kī sahar dekheñge
ai mire dil ke sulagte hue daġho bhaḌko
hijr kī raat vo jaltā huā ghar dekheñge
tere dar se hameñ ḳhairāt mile yā na mile
ham tire dar ke sivā koī na dar dekheñge
mai-kade jūmeñge barsegī javānī kī sharāb
vo chhalaktī huī nazroñ se jidhar dekheñge
un kī nazroñ se hai vābasta zamāne kī nazar
vo jidhar dekheñge sab log udhar dekheñge
aaj maazī ke fasāne vo suneñge ai 'charḳh'
merī barbād umīdoñ ke khañDar dekheñge
Top Urdushayar.com