ham jo mil baiTheñ to yak-jān bhī ho sakte haiñ
puure apne sabhī armān bhī ho sakte haiñ
tujh se is tarah pe aa pahuñchā hai rishta apnā
bin bulā.e tire mehmān bhī ho sakte haiñ
ham tire naam kī japte nahīñ maalā hī faqat
ham tire naam pe qurbān bhī ho sakte haiñ
dil meñ aane kī bhalā aap ko dāvat maiñ duuñ
ghar ke mālik kabhī mehmān bhī ho sakte haiñ
but-e-kāfir kī parastish pe koī qaid nahīñ
pūjne vaale musalmān bhī ho sakte haiñ
be-ruḳhī tū ne bhī bartī jo ḳhudāyā un se
tujh se barham tire insān bhī ho sakte haiñ
aaj jo gardish-e-daurāñ kā uḌāte haiñ mazāq
kal vahī log pareshān bhī ho sakte haiñ
tū jo samjhe mire armānoñ kī ahmiyyat ko
mere armāñ tire armān bhī ho sakte haiñ
jab ḳhatā karte the us vaqt na sochā ai 'charḳh'
ham sar-e-hashr pashemān bhī ho sakte haiñ