fazā meñ kaif-fashāñ phir sahāb hai saaqī
phir apne rañg pe daur-e-shabāb hai saaqī
ye talḳh yādeñ kam-az-kam bhulā to detī hai
sharāb kuchh bhī ho āḳhir sharāb hai saaqī
jo apnī hastī kī mastī miTā ke aatā hai
tire huzūr vahī bāryāb hai saaqī
ġham-e-firāq ġham-e-zindagī ġham-e-duniyā
sharāb saare ġhamoñ kā javāb hai saaqī
tirī nigāhoñ se maiḳhāne jaam bharte haiñ
tirī nigāhoñ kā koī javāb hai saaqī
ba-qaul-e-'charḳh' yahāñ mastiyāñ ubhartī haiñ
ye mai-kada to jahān-e-shabāb hai saaqī