jo āñsuoñ ko na chamkā.e vo ḳhushī kyā hai
na aa.e maut pe ġhālib to zindagī kyā hai
hameñ ḳhabar hai na apnī na ahl-e-duniyā kī
koī batā.e ye andāz-e-be-ḳhudī kyā hai
maiñ saath detā huuñ yāroñ kā hadd-e-manzil tak
maiñ jāntā nahīñ dastūr-e-rah-ravī kyā hai
tire ḳhayāl meñ din-rāt mast rahtā huuñ
ye bandagī jo nahīñ hai to bandagī kyā hai
tire karam se mayassar hai daulat-e-kaunain
tirā karam hai jabhī tak mujhe kamī kyā hai
na.e purāne nasheman sabhī jalā kar ab
nigāh-e-barq khaḌī duur tāktī kyā hai
kisī kī chashm-e-karam aap par nahīñ to kyuuñ
ye ḳhud se pochhiye kirdār meñ kamī kyā hai
na aa.ī jāgtī āñkhoñ ke dā.ere meñ kabhī
ye bad-nasīb kā ik ḳhvāb hai ḳhushī kyā hai
jo baat kahtā huuñ karte haiñ us pe harf-zanī
ye dostī hai to andāz-e-dushmanī kyā hai
qadam qadam pe kiye 'charḳh' zindagī ne mazāq
samajh meñ aa na sakā qasd-e-zindagī kyā hai