chāñd apnī vus.atoñ meñ gum-shuda rah jā.egā
ham na hoñge to kahāñ koī diyā rah jā.egā
rafta rafta zehn ke sab qumqume bujh jā.eñge
aur ik andhe nagar kā rāsta rah jā.egā
titliyoñ ke saath hī pāgal havā kho jā.egī
pattiyoñ kī oT meñ koī chhupā rah jā.egā
zard pattoñ kī tarah ik din bikhar jā.egā tū
jā chuke mausam ko tanhā sochtā rah jā.egā
shahr-e-vīrāñ meñ hazāroñ ḳhvāb le kar ik diyā
zad pe tūfānoñ kī hogā aur jalā rah jā.egā
Dūbte tāroñ kī sūrat kuchh lakīreñ chhoḌ kar
mere hone aur na hone kā sirā rah jā.egā
āñdhiyāñ kar deñgī gul 'ishrat' fasīloñ ke charāġh
ik diyā lekin tamannā kā jalā rah jā.egā