kahāñ sambhalte haiñ bahte hue bahāv meñ log
magar jo zaḳhm uThā.eñge is chunāv meñ log
tumhāre nīm-tabassum se saaf zāhir hai
ham aise maar diye jaa.eñ rakh-rakhāv meñ log
ye mere haq meñ lagātār bolte hue ab
kisī natīje pe pahuñche tire dabāv meñ log
dahak rahā hai abhī se ruḳh-e-ziyāñ-kārī
safar kā jā.eza leñge kisī paḌāv meñ log
kahānī jab kahīñ dhuñdlā ke naqsh khone lage
sarāpā dekh liyā karte haiñ alaav meñ log
tū apne vaqt kā yūsuf hai aur sar-e-bāzār
tujhe gañvā hī na deñ aise bhāv-tāv meñ log