baal shīshe meñ kahīñ baal se maiñ hotā huuñ
be-yaqīnī meñ paḌe jaal se maiñ hotā huuñ
aisā bīmār banātī hai tirī aañkh mujhe
aise gulnār tire gaal se maiñ hotā huuñ
tujh pe vo umr guzārī maiñ kahīñ aa.e na aa.e
sher kahte hue jis haal se maiñ hotā huuñ
dām-o-darham hunar-e-ḳhvāb ke badle laao
aise mar.ūb kahāñ maal se maiñ hotā huuñ
dil kī gahrā.ī tirī zaat kī tanhā.ī mirī
qaal se to huā hai haal se maiñ hotā huuñ
ek tajrīdī-numū husn ne rakkhī ham meñ
ḳhad se to hotā huā ḳhaal se maiñ hotā huuñ
aur zarā tham ke adam-nāma-e-hasrat ho kar
ashk be-zār tirī Dhaal se maiñ hotā huuñ