Khumar Mirzada

nam-e-tarsil ke soton ko chhupae rakkha

Khumar Mirzada

Chakwal, Punjab, Pakistan

1984
nam-e-tarsīl ke sotoñ ko chhupā.e rakkhā
mujh samā.at ne sadāoñ ko chhupā.e rakkhā
peḌ jalte rahe āvāra rahī gard-e-malāl
dhuup ne abr kī chhāñv ko chhupā.e rakkhā
taaq thā ḳhvāb thā tanhā.ī thī tārīkī thī
raat ne sirf charāġhoñ ko chhupā.e rakkhā
ishq meñ ham ne tamannāoñ kī vahdat ke liye
ek duuje se mizājoñ ko chhupā.e rakkhā
ai chaman-zād-e-shafaq nāz-e-gul-e-sarv-ḳhayāl
ham ne ḳhud meñ tire ḳhvāboñ ko chhupā.e rakkhā
ai yaqīñ-tāb-badan terī tarāshīdagī se
maiñ ne jhaḌtī huī poroñ ko chhupā.e rakkhā
dhuup ujlā.e mirā chehra ki maiñ bhī sochūñ
saa.e ne kaise ḳharāshoñ ko chhupā.e rakkhā
Top Urdushayar.com