Khumar Mirzada

hikayaton se fasanon se ret uDti hai

Khumar Mirzada

Chakwal, Punjab, Pakistan

1984
hikāyatoñ se fasānoñ se ret uḌtī hai
yahāñ qadīm zamānoñ se ret uḌtī hai
nasheb-e-jāñ se umaDte haiñ tāza-rau dariyā
buland-bām makānoñ se ret uḌtī hai
lapak alag hai chamak aur hai lalak hai judā
ye kaisī kaisī uThānoñ se ret uḌtī hai
yahāñ kitāboñ se jhaḌtī haiñ bhurnhurī sadiyāñ
aur ek shelf ke ḳhānoñ se ret uḌtī hai
ba-najd ḳhātir-e-majnūñ varā-e-shauq-o-junūñ
uḌe to kitne bahānoñ se ret uḌtī hai
hamārī naqsh-numā.ī ko chāTne ke liye
tire tamām jahānoñ se ret uḌtī hai
yahīñ kahīñ the vo lahreñ uchhālne vaale
hamāre dil meñ zamānoñ se ret uḌtī hai
Top Urdushayar.com