har chand ki laa.e the jigar chiir ke motī
arzāñ hī rahe nāla-e-shab-gīr ke motī
ik maañ ne bilakte hue bachchoñ ke liye shab
beche kisī bāzār meñ tauqīr ke motī
har rañg jamāte haiñ yaqīñ-tāb badan kā
in ḳhvāb se hoñToñ pe asātīr ke motī
dahlīz-e-mohabbat se sameTe haiñ hamesha
taare kisī shīrīñ ke kisī hiir ke motī
ḳhāmoshī kahegī ḳhalish-e-jāñ kā fasāna
palkoñ se chune jā.eñge tāsīr ke motī
zulmat-kada-e-fikr meñ tābāñ haiñ azal se
ġhālib ke kahīñ 'mīr'-taqī-'mīr' ke motī
kaafī se ziyāda hai ye tāvān junūñ kā
haiñ kāsa-e-zānū meñ jo zanjīr ke motī
ho jā.eñge mujh aise siyahkār kī ḳhātir
baḳhshish kā vasīla ġham-e-shabbīr ke motī