Khumar Mirzada

hum ki the KHush-fahm din ki be-panahi dekh kar

Khumar Mirzada

Chakwal, Punjab, Pakistan

1984
ham ki the ḳhush-fahm din kī be-panāhī dekh kar
haath malte rah ga.e shab kī siyāhī dekh kar
kaun dāman dekhtā hai kaun suntā hai dalīl
jurm sābit ho rahā hai be-gunāhī dekh kar
ham na kahte the dinoñ meñ ik hamārā din bhī hai
din badalte haiñ hamārī dād-ḳhvāhī dekh kar
dilbarī se ḳhud-parastī ne rakhā nā-āshnā
rukte rukte ruk ga.e ham kam-nigāhī dekh kar
harf-e-be-ma.anī se behtar hai navā-e-be-sadā
ro paḌā maiñ vaqt kī vīrāñ-nigāhī dekh kar
ḳhaak par likkhe ga.e ham ḳhaak par rakkhe ga.e
lahlahā.e sabzagī kī ḳhush-giyāhī dekh kar
dil-nashīñ hai ġhuncha-e-nau-vaqt lekin kab talak
dil lahū hai shāḳh-e-gul kī kaj-kulāhī dekh kar
kitne aise dard haiñ jin kī davā chāhī ga.ī
sochtā huuñ zaḳhm-e-dil kī bār-gāhī dekh kar
dīda-e-sailāb-jū kī dasht-pairā.ī ḳhumār
ālam-e-ḳhāshāk kī dekhī tabāhī dekh kar
Top Urdushayar.com