ho ke ā.īna muqābil bhī rahā rad ki nahīñ
darmiyāñ aaj bhī hai hijr kī sarhad ki nahīñ
dil-barāñ yūñhī na thī kufr-parastī dil kī
ftina-e-sub.h-e-qayāmat hai tirā qad ki nahīñ
haañ batā vahm se katrā.e hue husn-e-yaqīñ
nañg-e-tahqīq huī rasm-e-ab-o-jad ki nahīñ
dil se us rashk-e-charāġh-e-harm-o-dair ke ba.ad
hai vahī vahshat-e-tārīkī-e-ma.abad kī nahīñ
zindagī aaj talak merī tamannā-gah meñ
tere kuchh kaam bhī aa.ī hai ḳhushāmad ki nahīñ
hairateñ aap bhulā baiThī thiiñ tai kar ke jinheñ
ā.ina-ḳhānoñ meñ raa.ij hai vo abjad ki nahīñ
ishq meñ kaun muqābil thā mire kis pe khule
mansab-e-qais kī ḳhvāhāñ hai ye masnad ki nahīñ