Khumar Mirzada

ek rang sa chhalka tha magar bas na aai

Khumar Mirzada

Chakwal, Punjab, Pakistan

1984
ik rañg sā chhalkā thā magar baas na aa.ī
vo mauj-e-guzishta bhī koī ḳhaas na aa.ī
is baat pe hujjat haiñ chahakte hue qarye
har shaḳhs ko jañgal kī fazā raas na aa.ī
ḳhuuñ ho ke agarche dil-e-sad-chāk bhī Tapkā
hāthoñ meñ va-lekin rag-e-ehsās na aa.ī
tab rañj khule dhuup gañvā dene ke ham par
in sīm-zada kunjoñ meñ jab ghaas na aa.ī
paanī bhī alag chhān ke rakkhā thā lahū se
lekin kisī pairā.e meñ ik pyaas na aa.ī
sau baar charāġhoñ ko muñDeroñ pe dharā hai
āñkhoñ ke jharokoñ meñ koī aas na aa.ī
ai bād-e-sabā mauj-e-pareshāñ na huā kar
tū duur kahāñ thī ki mire paas na aa.ī
Top Urdushayar.com