Iqbal Kaifi

be-kasi par zulm la-mahdud hai

Iqbal Kaifi

be-kasī par zulm lā-mahdūd hai
matl.a-e-insāf abr-ālūd hai
vaqt kī qīmat adā karne ke ba.ad
ahd kā fir.aun phir masjūd hai
har taraf zar kī parastish hai yahāñ
sunte aa.e the ḳhudā ma.abūd hai
chaar sū hai ātish o aahan kā khel
aur ḳhalā meñ sho.ala-o-bārūd hai
tābish-e-ilm-o-hunar hai be-samar
kāvish-e-husn-e-amal be-sūd hai
amn 'kaifī' ho nahīñ saktā kabhī
jab talak zulm-o-sitam maujūd hai
Top Urdushayar.com