Iqbal Kaifi

sail ke labon par hai dua aur tarah ki

Iqbal Kaifi

saa.il ke laboñ par hai duā aur tarah kī
aflāk se aatī hai sadā aur tarah kī
hai ziist agar jurm to ai munsif-e-ālam
jurm aur tarah kā hai sazā aur tarah kī
is dil meñ hai mafhūm-e-karam aur tarah kā
us dil meñ hai tafhīm-e-vafā aur tarah kī
phūloñ kā tabassum bhī vo pahlā sā nahīñ hai
gulshan meñ bhī chaltī hai havā aur tarah kī
dete haiñ faqīroñ ko sazā aaj bhī 'kaifī'
log aur tarah se to ḳhudā aur tarah kī
Top Urdushayar.com