Iqbal Kaifi

mauj-e-bala mein roz koi Dubta rahe

Iqbal Kaifi

mauj-e-balā meñ roz koī Dūbtā rahe
sāhil har ek baar magar dekhtā rahe
yāroñ kī kashtiyāñ rahīñ sāhil se be-niyāz
tūfāñ se be-niyāz agar nāḳhudā rahe
ḳhairāt meñ kabhī nahīñ māñgīñ mohabbateñ
har-chand mere dost mujhe aazmā rahe
jin ko nahīñ thī daulat-e-ehsās tak nasīb
takrīm-e-be-nazar meñ vahī devtā rahe
maiñ aise husn-e-zan ko ḳhudā māntā nahīñ
aahoñ ke ehtijāj se jo māvarā rahe
maanā ki har tarah hai taġhayyur se be-niyāz
lekin vo hāl-e-ġham se to kuchh āshnā rahe
'kaifī' zamīr-bāḳhtā logoñ se kab talak
ḳhairāt-e-ehtirām koī māñgtā rahe
Top Urdushayar.com