kaif-e-hayāt tere sivā kuchh nahīñ rahā
terī qasam hai tujh se judā kuchh nahīñ rahā
vallāh sab ruteñ haiñ pareshāñ tire baġhair
vallāh mausamoñ kā mazā kuchh nahīñ rahā
tūfān sāhiloñ ko uḌāte chale ga.e
kaise kahūñ ki kuchh bhī rahā kuchh nahīñ rahā
afsos mābadoñ meñ ḳhudā bechte haiñ log
ab ma.anī-e-sazā-o-jazā kuchh nahīñ rahā
ham mai-kashoñ pe kufr ke fatve diye ga.e
ahl-e-ḳhudā ko ḳhauf-e-ḳhudā kuchh nahīñ rahā
ham to vafā-parast raheñge tamām umr
maanā ki un ko pās-e-vafā kuchh nahīñ rahā
'kaifī' maiñ kis tarah se vo manzar bayāñ karūñ
maiñ ne jo ro ke un se kahā kuchh nahīñ rahā